Wednesday 25 July 2007

1857, Ek Chingari, - A Nazm by Gulzar

Its 150 years to the first war of independence. On that occassion, there was a celebration in the parliament and noted Lyricist, Gulzar, wrote the following Nazm.

---------------1857 Ek Chingari-----------------------
ek khayal tha inquilab ka, san 1857,
ek jasba tha, san 1857,
ek ghutan thi, dard tha,
angara tha jo futa tha,
dedh sau saal hue hain,
uski chun chun kar chingariyan hamne, roshni ki hai,
kitni baar aur kitni jagah biji hai woh chingarian hamne,
aur ugaye hain paudhe us roshni ke,
hinsa aur ahinsa se, kitne saare jale alaav,

kanpur, jhansi, lakhnow, meerut, roorke, patna,
aajadi ki pehli pehli jang ne tevar dikhlaye the,
pehli baar laga tha ke koi sanjha dard hai, behta hai,
haath nahi milte par koi ungli pakde rehta hai,
pehli paar laga tha khooon khaule toh rooh bhi khaulti hai,
bhure jism ki mitti main is desh ki mitti bolti hai,

pehli baar hua tha aisa,
ganv ganv, rukhi rotiya banti thi,
aur thande tandoor bhadak uthte theh,

chand udti hui chingariyon se suraj ka thaal baja tha jab,
woh inquilab ka pehla gajar tha, san 1857,

garm hawa chalti thi jab,
aur baya ke ghonslon jaisi pedhon par laashein jhulti thi,
bahut dino hak mehrauli main, aag dhuien main lipti ruhen,
dilli ka rasta puchti thi,

us baar magar kuch aisa hua,
kranti ka anna to nikla tha,
par thamne wala koi na tha,
jaanbazon ke lashkar pahunche magar,
saalarne wala koi na tha,

kuch yun bhi hua, masnad se uthte der lagi,
aur koi na aaya paanv ki juti seedhi kare,
dekhte dekhte shaam-ae-avadh bhi raakh hui,

chalak tha rehjan,
rehbar ko is koo-ae-yaar se dur kahin burma main jaakar baandh diya,
kaash koi woh mitti laakar apne watan main dafn kare,

aajad hai ab, ab to watan aajad hai apna,
ab toh sab kuch apna hai,
is desh ke saari nadiyon ka paani apna hai,
lekin pyas nahi bujhti,
na jaane mujhe kyon lagata hai,
aakash mera bhar jaata hai jab,
koi megh chura le jaata hai,
har baar ugaata hun suraj,
kheton ko grahan lag jaata hai,

ab toh watan aajad hai mera,
chingariyan do, chingariyan do,
chingariyan do,
main phir se beejun aur ugaun dhoop ke paudhe,
roshni chidkun jaakar apne logon par,
woh mil kar phir se aawaj lagaye

inquilab! inquilab! inquilab!

- gulzar
----------------------------------------------------